Thursday, December 03, 2009

Ho Gai Hai Peer Parvat Si

Dushyant Kumar Ki ek kavita jo suni toh thi bahut pahle bhi par aaj ek baar phir se samne aa gayi:

ho gai hai phir parvat-si pighalani chaahiye
is himaalay se koi gangaa nikalani chaahiye

aaj ye diivaar pardon ki tarah hilane lagi
shart lekin thi ki buniyaad hilanii chaahiye

har sadak par har gali mein har nagar har gaaon mein
haath leharaate huye har laash chalani chaahiye

sirf hangaamaa khada karana mera maqsad nahin
meri koshish ye hai ki ye surat badalani chahiye

mere sine mein nahin to tere sine mein sahi
ho kahin bhi aag lekin aag jalani chaahiye