Saturday, April 11, 2009

Dream of Success

Aate-jaate, Swapn lok ki batein karta,
Kal hoga sab theek-thak man ko samjhata.
Jeevan ke paar utar jaane ki koshish mein,
Kya hai pana, kya khona is jod-tod mein,
Aaj tumhe apnane se darta hoon mai,
Roj naye kuch khwab ankahe bunta hoon mai.
Aaj nahi toh kal phir kab tak,
Kaal ke rahte ya khitij ke nab tak,
Jeevan ki pyas bujhane waale ghat se lipta sa,
Kal hoga sab theek-thak man ko samjhate.