Sunday, September 28, 2008

When I born, I black
When I grow up, I black
When I go in Sun, I black
When I scared, I black
When I sick, I black
And when I die, I still black

And you white fellow

When you born, you pink
When you grow up, you white
When you go in sun, you red
When you cold, you blue
When you scared, you yellow
When you sick, you green
And when you die, you gray
And you calling me colored?

Tuesday, March 11, 2008

Haath Choote bhi toh riste nahi choota karte

"jisne pairon ke nishaa bhi nahi chode peeche,
us musafir ka.. pata bhi nahi poocha karate,
Haath chootein bhi to rishte nahi choota karate,
waqt ki shaakh se lamhe nahi toota karate,
choot gaye yaar, na chooti yaari, maula.

tune awaaz nahi dee kabhi mudkar warna,
hum kai sadiyaan.. tujhe ghoom ke dekha karate,
haath choote bhi to rishte nahi choota karate... "

Sunday, February 17, 2008

Real India!

Kya hai real India!
apne wajan ko chunauti dete school bag
ko dhokar jate kisi Public School ke bacche
ya...
school ki poori aabadi mein se aadhe
sadak par dikhte government school ke bacche

Din bhar Kaam ki thakan se choor
footpath par sote majdoor
ya...
pata nahi khud ko ya kutte ko tahla ke
charbi khatane ki kosis mein lage log

Kaale-neele peele kapdo waale
bhagawan tak jaane ka licience detelog
ya...
bhagwaan se apno ke liye mangte woh log
jinhe ye yakin hai ki ek din sab acha hoga!

Yahin kahin aaspaas hi hai saccha Bharat

Tuesday, January 01, 2008

khusi

Khusi kya hai...
ek wyast din ke ant mein sab kuch khatam karne ki thakan...
kaafi massakt ke baad banaye hue khane ka swad...
ek aur kitab padh padh katam karne ki kosis...
carrier mein agale pavdan ki taiyaari...
Band mutthi se jharti hui ret...
Jo hai sab aaj hai kal kuch nahi hone waala
Ek aur saal gujar gaya uski talaash mein